ISLAAM e'tedaal aur tawazan ki raah par chalne ki talqeen karta hai aur wo ibaadaat-o-moamulaat me ifraat-o-tafreet ki rosh ikhtiyaar karne ko banazare istehsan nahi deta.Huzur-e-Akram Sallallalahu Alayhiwa Sallam ne apne Sahaba RaziAllahu taala anhum ko usi rah par A'mal payra hone ki taaleem farmai hai,
Riwayat me hai ke ek dafa chand sahaba RaziAllahu taala anhum jin me Hazrat Abdullah bin Umro RaziAllahu taala anhu bhi the, saelul-dahel aur qaaemul-lail rahne par muttafiq ho gae. Aap Sallallahu Alayhiwa Sallam ko qabar hui to Hazrat Abdullah Bin Umar Raz.Anhu ko talab farmaya,jo mukaalma hua unhi sahabi se marvi hadees-e-paak me mulaheza farmaiye:
Rasool Allah Sallallahu Alyhi wa sallam ne mujhe talab kiya aur farmaya,"Ay Abdullah mujhe pata chala hai ke tum Din ko roza rakhte ho aur Raat ko qiyaam karte ho",Main ne arz kiya haan ya Rasool Allah Sallallahu Alyhiwa Sallam (aysa hi hai), Aap Sallallahu Alayhiwa sallam ne farmaya aysa na kiya karo, roza bhi rakho aur iftaar bhi karo,(raat ko) qiyaam bhi karo so-o bhi isliye ke tumhare badan ka bhi tum par haq hai, tumhari aankhon ka bhi tum par haq hai,tumhari biwi ka bhi tumpar haq hai, aur tumhare mahmano ka bhi tum par haq hai, jis ne hamesha ka roza rakha us ne (koi) roza nahi rakha, har maah ke teen (3) roze hamesha ke rozaon ka sawab rakhte hain,isliye behtar hai ke tum har maah me teen (3) roze rakho". (MUSLIM SHAREEF)
Ek aur hadees-e-mubaraka jise hazrat Ibn-e-Gaysi (Raziallahu taala anhu) ne apne walid-e-majid se riwayat kiya usi mazmoon par dalalat karti hai, wo farmate hain ke Rasool Allah Sallallahu Alyhiwa Sallam ne hame ayaame baiz yani chaand ki tyrhwi (13th), chaodhwi (14th) aur pandravi (15th) ke roze rakhne ki talqeen farmai aur farmaya,"Jis ne har maah teen roze rakhe, aisa hi hai jaise wo zindagi bhar roze rakhne wala ho, (TIRMIZI SHAREEF)
Aan Hazrat Sallallahu Alayhiwa Sallam ke ye hikmat aamoz irshadaat me miyana roi aur e'tedaal ko malhooz rakhne ki taaleem dete hain,un ka lab labaab ye hai ke sab se behtar aur afzal amal wo hai, jo qhwah miqdaar me thoda hi ho, laikin use pabadi-e-waqt aur muhafizat aur madaomaat ke sath jaari rakha jaasake.
Huzoor-e-Akram Sallallahu Alayhiwa Sallam ne irshad farmaya, "Allah taala ki baargah me sab se achcha amal wo hai jo hamesha kiya jaae, agarche wo qhaleel (thoda) ho". (MUSLIM SHAREEF)
Islaam deen-e-fitrat hone ke naate zindagi ke har moamle me nazm-o-zabt (Discipline), paabandi-e-waqt (Punctuality) aur baaqedgi (Regularity) par zor deta hai, laikin humne apni kotah nazri se un tasawwuraat ko maghrib se aai hui chiz samajh rakha hai, halanke wo islami taalimat ka jazwe laayanfaq hai, zaroorat is amr ki hai ke hum apne dunyawi aur deeni moamlaat ko unhi tasawwuraat ke saanche me dhalen aur ifraat-o-tafreet se najaat hasi kar ke dunyawi aur ukhravi kamiyabiyon aur kaamranyon se bahrawar hon.